Wednesday, March 31, 2010

Pal bhar mein tamam umer ki soche badal jati hain jin raho per chalte hain wohi, rahein badal jati hain

pal bhar mein tamam umer ki soche badal jati hain
jin raho per chalte hain wohi, rahein badal jati hain

karne ko kya nahi karte log muhabbat mein,
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai ke us ka naam sun ke tasawwur say hi
hamari tamaam tar saatein(moments) badal jati hain

sochta hoon jane kaise? kah paoonga main uss say
milta hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe manzil dushwar ho aur door bhi
humsafer uss jaisa ho to muskile badal jati hain

yun to raat ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar chand dekhuu to meri rate badal jati hain

mat chaho kay mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adate badal jati hain

No comments:

Post a Comment