Tuesday, March 2, 2010

Gam ke saayo mein pyaar ki kashti ko dhundhta hun ! Akela hun kisi hum safar ko dhundhta hun !!

Gam ke saayo mein pyaar ki kashti ko dhundhta hun !
Akela hun kisi hum safar ko dhundhta hun !!

Yun toh kai raste akele ghooma hun !
par aaj bahut akela aur sehma hua hun !!

manjil milegi ya nai yeh toh mein nai jaanta !
Manjil ke liye har jagah jhakm kha chuka hun !!

chalte hue kabhi sapno mein kho jata hun !
kabhi sapno mein bhi manjil ko talashta hun !!

Pata nai kaun hun mein !
bas kisi manjil ka naam lekar use dhundhta hun !!


Kahan jaunga kisiko kya pata !
bas yunhi kisi ajnabi musafir ki tarah !!
kabhi yahan toh kabhi wahan ghoomta hun !!!

No comments:

Post a Comment