Monday, December 1, 2014


क्यों रूठा है मेरा प्यार
रूठे हो क्यों तुम मुझसे
पूछूं मैं क्या तुमसे?
मेरी आँखों के खयाल तुम हो
मेरी सांसों की पहचान हो
मेरे चहरे की मुस्कुराहट तुम हो,
मेरे जीने की वजह तुम हो,
मेरी पलकों पे बसा हुआ ख्वाब तुम हो,
मेरी हर धड़कन में तुम हो,
जब मेरे ख्वाब तेरे थे,
जब प्यार इतना करते थे,
जब दूर इतना रहते थे,
जब मिल के बिछड़े ही थे,
जब इतना प्यार करते ही थे ,
इज़हार से क्यों डरते थे,
आज फिर मैं पूछती हूँ तुमसे,
रूठे हो क्यों तुम मुझसे..

Saturday, April 9, 2011

Ager mairay bas main hota

Apna use banana ager mairay bas main hota
lout ata lout ana ager mairay bas main hota

Ankhoon main unki jata surat badal badal ke
khawaboon main ana jana ager mairay bas main hota

chehray ko muskurahat se main sajye rakhta
Ae yaar muskarana ager mairay bas main hota

duniya se khatam ker ke rukh deta rung-o-ghum ko
bazm-e-tarab sajana ager mairay bas main hota

Qadmoon main unke laa ker taray baikhair deta
taroon ko torde lana ager mairay bas main hota

lata na naam bhi main us bewafa ka lub per
usko bhulana ager mairay bas main hota

Buhat Udaas Hoon Main

Mairay Qareeb to aao ke buhat Udaas hoon Main
Bus aaj Toot ker chaho ke buhat Udaas hoon Main

Kisi bhi Jhotay Dilasay se Dil ko behlao
Koi Kahani sunao ke buhat Udaas hoon Main

Andheri Raat hai kuch bhi Nazer nahien ata
Sitaray Tore ker lao ke buhat Udaas hoon Main

Suna hai Tairay Nager main Khushi bhi milti hai
Mujhe Yaqeen dilao ke buhat Udaas hoon Main

Yeah Sham yoon hi guzer jaye gi dabay paoon
Dosti ka Geet sunao ke buhat Udaas hoon Main

Shama jalti rahi main piglta raha

Shama jalti rahi main piglta raha
Zindagi ka safer yoon hi chalta raha

kuch is tarah apna banaya mujh ko
her dost mujh ko dushman lagta raha

hosh aya to dil ke tukray dekhay
phir raat bhar kamra siskioon se ghonjta raha

wo to so gay raat ko chain se "Raaz"
koi unki yaad main tardpta raha, marta raha

Kabhi jo waqat milay

Kabhi jo waqat milay
Peechay murde ker dekhna
Aik shakash jise tum
Saloon pehlay chorde aye thi
Wo aaj bhi kharda hai
isi tarah tere intazar main
Aisay jaisay tum ne
us se kaha ho
Ruko do minute
Main abhi aye

Wo Poochti Hai

Wo Mujh se Mairy Udassioon ki Wajha pochti hai
Kitni Pagal hai Raat ke Sanatay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairay Aansoon ki Wajha Pocthi hai
Kitni Pagal hai Barish ke barasnay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairy Pasand pocthi hai
Kitni Pagal hai Khud apnay hi baray main pochti hai

Wo Mujh se Mairy Wafa ki intihaa pochti hai
Kitni Pagal hai Sahil per Khari Samandar ki Gehrai pochti hai

DURD KE PHOOL

Durd ke phool bhi khiltay hain bikher jaatay hain
Zakham kaisay bhi hon kuch roze main bhar jatay hain

Rasta roke khardi hai yeahi uljhan kab se
Koi pochay to kahien kiya ke kidher jatay hain

Zakham kaisay bhi hoon kuch roze main bhar jatay hain
Durd ke phool bhi khiltay hain bikhar jatay hain

Naram aawaz bhali baatien muhazab lehjay
Pehli baarish main hi yeah rung uter jatay hain

Durd ke phool bhi khiltay hain bikher jatay hain
Zakham kaisay bhi hon kuch roze main bhar jatay hain

Ik Teri Kami


Phir Chand khula phir raat thami
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir yaad ke jhonkay bhehak gaye

Phir pagal Armaan bhehak uthay

phir jannat see lagti hai zameen
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir ghuzray lamhoon ki batien
Phir jagi jagi see ratien
phir thehar gaye palkoon pe nami
phir dil ne kaha ik teri kami

Ik Mohabbat Ke Siwa


Ik Mohabbat Ke Siwa Koi Nahi Koi Nahi
Main Akeela Hoon Mera Koi Nahi Koi Nahi

Main ne Pocha tera kon hai is duniya main
us ne holay se kaha koi nahi koi nahi

hai her ik shaksh mulawas meri barbadi main
in main bejuram-o-bekhata koi nahi koi nahi

Apne din raat ko bechaini ko zaia hi samjh
Aye dil zaar tera koi nahi koi nahi

Apni awaz hi ab lout ke deti hai jawab
hai koi ahel-e-wafa ! koi nahi koi nahi

main to is haal main bhi Aalam-e-Iman main hoon
main nahi kehta Khuda koi nahi koi nahi

Jis se rishta ho khafa us se huwa jata hai
tujh se aye umer, khafa koi nahi koi nahi

Zindagi Ka Fasana


khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa, 

Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa, 
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein, 
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa, 
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye, 
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa, 
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai, 
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa, 
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya, 
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa.

aaj badi tanhai hai

Aaj bouhat hai pani barsa aaj badi tanhai hai
Aise me kiyoin aye jaane tamnna yaad tumhari ayi hai

Kaise dil ke dard sahe kaise ashk aankhon se kahen
Abhi to dil ke zakham naye hain ispar ye purwayi hai

Tees hai dil me dard jigar me aankhen nam our tanhai hai
Is liye bina kuch likhe hi kora kagaz bheja hai

Khat ko agar koi padhlega is me ham dono ki ruswai hai

Mujhe Azmane Wale

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Nahi Janti ho......

Nahi janti ho tum mujhko lekin
tumahri ye ankhe
sapno mai apne
pahchanne lagi hain

Nahi dekhti ho tum meri surat
to kyu teri sanse
meri tootti sanso ko thamne lagi hain

nahi mil sakogi
tumhe bhi pata hai
to kyu teri nazrein
meri hi raho k samne lagi hain

nahi koi rista hai teri juba se
to kyu teri batein
mujhe dil ka hissa
manne lagi hain

hum hai kinare
ye jeewan ki dhara
ka rista hai pyara

mujhe bhi pata hai
nahi janti ho
tum mujhko lekin

meri kavitayein
tumhe janne lagi hain !

Koi kaise bikharta hai

koe kaise bikharta haimujhe maloom hai lekin
wo khud b khud sawar jaye
agar ek baar choo lo tum

mujhe wo phool de do
k jaha khosboo nahi hoti
unhe phir se mehka doonga
agar ek baar le lo tum

k toote aene mai bhi
tera deedar hota hai
chaman guljar ho jae
agar ek baar keh do tum

mujhe malum hai "mann" k
koe kaise bikharta hai
patghad jab bhi aata hai
chaman phir se nikharta hai !

Mera jeevan kitna apna

Mera jeevan kitna apna
mera jeevan jaise sapna
sapna jisme rang nahi hai
koi mere sang nahi hai

ek akeli meri aankhe
ek akela mera sapna

aisa jisme mai hi mai hoon
aisa jisme intjaar hai
aisa jisme haar nahi hai
lekin isme pyar nahi hai

kash ye sapna sach na hota
kash ye apna
sach'na hota
kash mai ye sab nahi dekhta
lekin gar ye
sab na hota
jo hota
wo kab na hota
jo likhta hoon
jo karta hoon
jaisa hoon mai
ab
na hota !

Meri ankhe hi mere dard ki kahani hain

Meri ankhe hi mere dard ki kahani hain,
tumse chupata bhi nahi aur sunata bhi nahi !

Meri sanso mai mere jindgi k arma hain,
jinko dabata bhi nahi aur jagata bhi nahi !

Mere paas kuch nahi mere geeto k siwa
Mere ansu hi meri daulat hain,
Tumko deta bhi nahi aur bahata bhi nahi !

Mere Panne

Mere Panne,
jindgi k hadso se hi,
likhe jate nahi hain !
Mere Panne,
log aise hi,uda pate nahi hain !
main akela hoon.
main akela hoon magar,
ek bhid
mere sath mai hain
pyar ki kuch manjilon ki
neev mere hath mai hai
mere panne !
jo bhi padte hain,
suna pate nahi hai
mere panne
koi yaado se hata pata nahi hai
mere panne
roz tumko chao dene ko hile hai
mere panne
roz tere need se jakar mile hai
mere panne
har kadam sang mai chale hain
mere panne
sard raato main jale hain
main mitonga
tum mitogi
aur ye tanhayiya bhi
mere panne
aaj aur kal bhi
padhe jate rahege
tum udaogi
magar ye
yaad ki sodhi hawa mai
tumko tadpare rahege !
lot k aate rahege !
lot k aate rahenge !

Dard


Ro nahi sakte,hasa jata nahi

bata nahi sakte chupa pata nahi,

iss kadar majboor hai ye dil sanam,

mar nahi sakte jiya jata nahi !

Pagal

Dard bhi khobsurat hota hai
pyar ki ek murat hotahai
wo insaan hee,hame nahi milta
jo hamari jarurat hota hai !


wo meri jaan hai jisne mujhe har pal sataya hai
mera armaan hai jisne mujhe pal pal rulaya hai,
Deewane saan se lete hain mere naam ki kasmei,
bada ehsaan hai jisne mujhe "pagal" banaya hai !

jab mujhe dard hota hai,hum unko pyar karte hain,
wo ankhe band karte hain hum unse baat karte hain,
hum unki baddua ko bhi dua-a-dil samajh lenge,
humei itni tasalli hai,k humko yaad karte hain ! 

kahani roz kehti hai

kahani roz kehti hai
mujhe sun lo sanam mere ,

mai kehta hoon hare ho jayenge
phir se jakham mere

wo meri jaan hai, dil mai
meri sanso mai basti hai

magar uss se mila sakte nahi,
mujko karam mere !