Sunday, April 4, 2010

Dil Mein Jo Aag Hai Ussey Kaisey Karoon Bayaan, Lafz Zabaan Pay Aayein To Jal Jaaye Na Zabaan..!

Dil Mein Jo Aag Hai Ussey Kaisey Karoon Bayaan
Lafz Zabaan Pay Aayein To Jal Jaaye Na Zabaan

Aankhon Mein Jo Hai Unhein Dikhaai Nahin Diya
Warna Aankhon Say Suna Detey Iss Dil Ki Dastaan

Dil Dharrakney Ka Shor Bhi Nahin Suna Shayad
Ruk Gaya Jab Say Dharrkanon Ka Kaarwaan

Woh Agar Kehta To Dil Cheer Ke Dikha Detey
Ussey Mil Jaata Mairi Chaahaton Ka Nishaan

Abb To Khud Ko Bhi Bhula Diya, Bhula Kar Ussey
Par Uss Ki Yaadon Say Bach Ke Jayein Gey Kahan

Mot Bhi Hum Say Roothi Hai, Paas Nahin Aati
Iss Dard Ke Saath Abb Jeena Bhi Nahin Aasaan !!!

No comments:

Post a Comment